Saturday, May 1, 2010

MAY DIVAS AUR MAZDOOR

Desh mein Rashtriya Gramin Rojgar Guarantee Yojna aub Manrega aieuum anya Rojgarparak yojnaaon mein sarkar rajniti ke naam par hi sahi mazadooron ko waastauik mazaduri,verojgari bhattaa woh anya suvidhayen zabaran pradaan kar rahi hai. Mazadooron ko mil rahee paarishramik woh anya suvidha samay par muhaiyaa karane ke liye vyapak pravandh kiye gaye hain.Dekh rekh key vividh upay khye gaye hain.Galti hone par doshèe ko tatkaal nrega act ke sath hi vibhagiya,anushaasanik,aarthik aur anyanya kanunon ke antargat dandaatmak kaararwaayee kee jati hai.Par in Rojgarparak yojnaaon ko chalane wale sarkari adhikariyon karmchaariyon ko Jharkhand ke kayi zilon ke prakhandon mein gat kayee maah sey aavantan ke abhaaw mein vetan bhugtaan lamvit hai.Prakhamdlarmiyon ke samaksh aarthik kathinaaiyaan utpann ho gayi hai.Vetan ke liye guhar laga-laga wey thak chuke hain.Lekin unki guhar sarkaar woh Prashasanik adhikariyon key kaan tak nahin pahunch rahi hai.

TAPATEE DHARATEE AUR BUNDAA-BAANDEE

Garmi apani puri ufaan par hai.Surya maharaj atyant niche hokar dharati ko senk rahe hain.Pine ke pani ke liye manushya,pashu-pakshee,sub jeeva-jantu jung kar rahe hain.Garmee se log trahi-trahi kar rahe hain.Aiese mein Jharkhand samet desh ke kuchh hisson mein gat dinon varish kee hakee bundaa-baandee huyee.Bhale hee kuchh der ke liye logon ko garmi se thodi raahat jarur huyee par phir dharati se nami ke sukhane ke sath hee garmee punah apne parwan par chadhati nazar aa rahi hai.

अधिसूचना जारी होने के साथ देश में आदर्श चुनाव संहिता लागू -अशोक “प्रवृद्ध”

  अधिसूचना जारी होने के साथ देश में आदर्श चुनाव संहिता लागू -अशोक “प्रवृद्ध”   जैसा कि पूर्व से ही अंदेशा था कि पूर्व चुनाव आयुक्त अनू...